kaun aata hai bulata hai chala jata hai
kaun aatā hai bulātā hai chalā jaatā hai
maiñ huuñ vahshī ye batātā hai chalā jaatā hai
mere gaañv chalā aatā hai khilaune vaalā
aur bachchoñ ko rulātā hai chalā jaatā hai
mujh ko taklīf vo detā hai maze le le kar
aadhā chehra hī dikhātā hai chalā jaatā hai
ḳhvāb jab bhī maiñ tirā dekhtā huuñ jaane kaun
mujh ko aatā hai jagātā hai chalā jaatā hai
ab kisī aur ke hisse meñ vo shāmil hogī
ye ḳhabar yaar sunātā hai chalā jaatā hai
terī āvāz meñ koī mujhe apnā kah ke
ġham ke lamhoñ meñ hañsātā hai chalā jaatā hai
mil ke rotā thā bichhaḌ jaane kā sun kar hī jo
haath ab mujh se chhuḌātā hai chalā jaatā hai
kaun aata hai bulata hai chala jata hai
main hun wahshi ye batata hai chala jata hai
mere ganw chala aata hai khilaune wala
aur bachchon ko rulata hai chala jata hai
mujh ko taklif wo deta hai maze le le kar
aadha chehra hi dikhata hai chala jata hai
KHwab jab bhi main tera dekhta hun jaane kaun
mujh ko aata hai jagata hai chala jata hai
ab kisi aur ke hisse mein wo shamil hogi
ye KHabar yar sunata hai chala jata hai
teri aawaz mein koi mujhe apna kah ke
gham ke lamhon mein hansata hai chala jata hai
mil ke rota tha bichhaD jaane ka sun kar hi jo
hath ab mujh se chhuData hai chala jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.