kaun aaya sar-e-bazar koi kya jaane
kaun aayā sar-e-bāzār koī kyā jaane
kyoñ zuleḳhā hai ḳharīdār koī kyā jaane
mujh ko kyoñ aap se hai pyaar koī kyā jaane
aap ke husn kā me.aar koī kyā jaane
saiñkaḌoñ māh-jabīñ haiñ sar-e-mahfil lekin
aañkh kis kī hai talabgār koī kyā jaane
ab masīhā na davā.eñ koī kaam ā.eñgī
aap kā kaisā hai bīmār koī kyā jaane
dekh kar mujh ko kahā sab ne divāna lekin
husn ke talḳh haiñ āsār koī kyā jaane
dil 'nisār' aap pe jis din se kiye baiThā huuñ
maiñ zamāne se huuñ bezār koī kyā jaane
kaun aaya sar-e-bazar koi kya jaane
kyon zuleKHa hai KHaridar koi kya jaane
mujh ko kyon aap se hai pyar koi kya jaane
aap ke husn ka mear koi kya jaane
sainkaDon mah-jabin hain sar-e-mahfil lekin
aankh kis ki hai talabgar koi kya jaane
ab masiha na dawaen koi kaam aaengi
aap ka kaisa hai bimar koi kya jaane
dekh kar mujh ko kaha sab ne diwana lekin
husn ke talKH hain aasar koi kya jaane
dil 'nisar' aap pe jis din se kiye baiTha hun
main zamane se hun bezar koi kya jaane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.