kaun ab jae nasheman ko sajaane ke liye
kaun ab jaa.e nasheman ko sajāne ke liye
phir bahār aa.ī hai dīvāna banāne ke liye
barq se itnā hameñ kahnā hai ai ahl-e-jahāñ
kyā hamārā hī nasheman thā jalāne ke liye
maiñ samajhtā thā ki aahoñ meñ asar kuchh bhī nahīñ
lījiye aa hī ga.e ḳhud vo manāne ke liye
ham to samjhe the ki takmīl-e-mohabbat hai yahī
kyā navāzā thā nigāhoñ se girāne ke liye
'ishq meñ dil pe jo guzrī hai na pūchhe vo koī
rah gayā huuñ maiñ faqat aañsū bahāne ke liye
aaj saaqī kī nigāheñ jo uThīñ bahr-e-karam
vo ghaTā uTThī hañsī merī uḌāne ke liye
bā-ḳhabar hote na vo rāz-e-mohabbat se kabhī
ham ko jaanā hī na thā qissa sunāne ke liye
jis ko jiine kā har ik rasta batāyā thā kabhī
muntaḳhab us ne kiyā ham ko nishāne ke liye
shā'irī jin kī nigāhoñ meñ tarannum hai faqat
ab vahī aa.e haiñ 'ishrat' ko paḌhāne ke liye
kaun ab jae nasheman ko sajaane ke liye
phir bahaar aai hai diwana banane ke liye
barq se itna hamein kahna hai ai ahl-e-jahan
kya hamara hi nasheman tha jalane ke liye
main samajhta tha ki aahon mein asar kuchh bhi nahin
lijiye aa hi gae KHud wo manane ke liye
hum to samjhe the ki takmil-e-mohabbat hai yahi
kya nawaza tha nigahon se girane ke liye
'ishq mein dil pe jo guzri hai na puchhe wo koi
rah gaya hun main faqat aansu bahane ke liye
aaj saqi ki nigahen jo uThin bahr-e-karam
wo ghaTa uTThi hansi meri uDane ke liye
ba-KHabar hote na wo raaz-e-mohabbat se kabhi
hum ko jaana hi na tha qissa sunane ke liye
jis ko jine ka har ek rasta bataya tha kabhi
muntaKHab us ne kiya hum ko nishane ke liye
sha'iri jin ki nigahon mein tarannum hai faqat
ab wahi aae hain 'ishrat' ko paDhane ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.