kaun batlae ki kis ko kya mila
kaun batlā.e ki kis ko kyā milā
jis kī qismat meñ jo likkhā thā milā
tark mai-noshī to maiñ ne kī magar
ye batā zāhid ki tujh ko kyā milā
mar-miTī duniyā ḳhushī ke naam par
ġham na koī chāhne vaalā milā
fikr meñ andāz meñ āvāz meñ
har bashar apnī jagah tanhā milā
ab nahīñ be-laus milne kā rivāj
jo milā vo apne matlab kā milā
simTī simTī har ḳhushī aa.ī nazar
bikhrā bikhrā ġham kā shīrāza milā
bāñkpan shāyad isī kā naam hai
husn rangīnī meñ bhī saada milā
sehn-e-gulshan meñ vo kahlā.e gulāb
ḳhuun jin phūloñ ko shabnam kā milā
apnā maazī yaad aaya hai 'la.īq'
zaḳhm dil ko jab koī taaza milā
kaun batlae ki kis ko kya mila
jis ki qismat mein jo likkha tha mila
tark mai-noshi to main ne ki magar
ye bata zahid ki tujh ko kya mila
mar-miTi duniya KHushi ke nam par
gham na koi chahne wala mila
fikr mein andaz mein aawaz mein
har bashar apni jagah tanha mila
ab nahin be-laus milne ka riwaj
jo mila wo apne matlab ka mila
simTi simTi har KHushi aai nazar
bikhra bikhra gham ka shiraaza mila
bankpan shayad isi ka nam hai
husn rangini mein bhi sada mila
sehn-e-gulshan mein wo kahlae gulab
KHun jin phulon ko shabnam ka mila
apna mazi yaad aaya hai 'laiq'
zaKHm dil ko jab koi taza mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.