kaun bigaDe bante kaam
kaun bigāḌe bante kaam
kis pe dhareñ 'ansar' ilzām
barf chalī dariyā kī samt
dhuup kā phir aayā paiġhām
dekhtī rah ga.ī jaltī aañkh
dhuāñ dhuāñ ghar ujḌe baam
lahū diyoñ ko rizq ma.aal
mere ghar kab aa.ī shaam
manzil kā phir zikr chhiḌā
socheñ uljhīñ gām-ba-gām
soch kahāñ tak jā.egī
ek mo'amma hai anjām
vaqt ne jis dam thāmā haath
'ansar' sañg bhī ho ga.e raam
kis ne kis ko thaam liyā
kis pe dhareñ 'ansar' ilzām
kaun bigaDe bante kaam
kis pe dharen 'ansar' ilzam
barf chali dariya ki samt
dhup ka phir aaya paigham
dekhti rah gai jalti aankh
dhuan dhuan ghar ujDe baam
lahu diyon ko rizq maal
mere ghar kab aai sham
manzil ka phir zikr chhiDa
sochen uljhin gam-ba-gam
soch kahan tak jaegi
ek mo'amma hai anjam
waqt ne jis dam thama hath
'ansar' sang bhi ho gae ram
kis ne kis ko tham liya
kis pe dharen 'ansar' ilzam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.