kaun dekhega zamane inqilab-e-naz ke
kaun dekhegā zamāne inqilāb-e-nāz ke
bhuul baiThe haiñ vo vaade ishq ke āġhāz ke
hote haiñ tīr-e-sitam sar chāhne vāloñ pe ab
ye na.e andāz dekhe ġhamza-o-ġhammāz ke
mere āh-o-nāle ko zālim samajh nādāñ na ban
saaz ke naġhme nahīñ ye haiñ shikast-e-sāz ke
bāl-o-par ab tak bañdhe haiñ huuñ muqayyad tā-hanūz
hukm sādir ho chuke haiñ go merī parvāz ke
ishq-e-dīñ hubb-e-vatan zauq-e-amal pās-e-vafā
jauhar-e-insāniyat haiñ ye kisī dam-sāz ke
is ḳharāb-ābād kī tanzīm kuchh āsāñ na thī
mo.ajize haiñ ye masīhā-dam tere andāz ke
sāz-e-hastī terī ik āvāz se thā naġhma-kār
muntazir dīvāne dil haiñ dūsrī āvāz ke
chaar kaliyoñ ke sahāre hai gulistāñ kā qayām
zāhiran jo gul haiñ varna ḳhaar haiñ e.ajāz ke
go ġhanīmat panja-e-aġhyār ke chhuTnā sahī
kyuuñ magar ham said hoñ chashm-e-zamāna-sāz ke
inqalāb ik apne haq meñ aur bhī aane ko hai
ye ma.ānī haiñ haqīqat meñ navā-e-rāz ke
zulm par tum zulm Dhaao ham na khīñcheñ aah tak
vaah kyā kahiye tumhāre ishva-o-andāz ke
hind meñ qaa.em rahe daa.im bahār-e-be-ḳhizāñ
ye duā lab par ho har 'gulzār' ke dam-sāz ke
kaun dekhega zamane inqilab-e-naz ke
bhul baiThe hain wo wade ishq ke aaghaz ke
hote hain tir-e-sitam sar chahne walon pe ab
ye nae andaz dekhe ghamza-o-ghammaz ke
mere aah-o-nale ko zalim samajh nadan na ban
saz ke naghme nahin ye hain shikast-e-saz ke
baal-o-par ab tak bandhe hain hun muqayyad ta-hanuz
hukm sadir ho chuke hain go meri parwaz ke
ishq-e-din hubb-e-watan zauq-e-amal pas-e-wafa
jauhar-e-insaniyat hain ye kisi dam-saz ke
is KHarab-abaad ki tanzim kuchh aasan na thi
moajize hain ye masiha-dam tere andaz ke
saz-e-hasti teri ek aawaz se tha naghma-kar
muntazir diwane dil hain dusri aawaz ke
chaar kaliyon ke sahaare hai gulistan ka qayam
zahiran jo gul hain warna KHar hain eajaz ke
go ghanimat panja-e-aghyar ke chhuTna sahi
kyun magar hum said hon chashm-e-zamana-saz ke
inqalab ek apne haq mein aur bhi aane ko hai
ye maani hain haqiqat mein nawa-e-raaz ke
zulm par tum zulm Dhao hum na khinchen aah tak
wah kya kahiye tumhaare ishwa-o-andaz ke
hind mein qaem rahe daim bahaar-e-be-KHizan
ye dua lab par ho har 'gulzar' ke dam-saz ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.