kaun ehsan ka us shahr mein phal deta hai
kaun ehsān kā us shahr meñ phal detā hai
vaqt mushkil ho to ham-zād bhī chhal detā hai
ek vo shaḳhs havas-zād mohabbat ke ta.iiñ
dil ke chehre pe 'ajab kālikeñ mal detā hai
merī vahshat kī tasallī ke liye merā tabīb
mere zaḳhmoñ ke rafū khīñch ke chal detā hai
us kī āvāz se chhātā hai dimāġhoñ meñ sukūñ
dekhnā us kā ḳhad-o-ḳhāl badal detā hai
paTriyāñ dikhtī haiñ dikhtā hai samundar mujh ko
kaun ḳhvāboñ meñ mujhe kūs-e-ajal detā hai
kaun ehsan ka us shahr mein phal deta hai
waqt mushkil ho to ham-zad bhi chhal deta hai
ek wo shaKHs hawas-zad mohabbat ke tain
dil ke chehre pe 'ajab kaliken mal deta hai
meri wahshat ki tasalli ke liye mera tabib
mere zaKHmon ke rafu khinch ke chal deta hai
us ki aawaz se chhata hai dimaghon mein sukun
dekhna us ka KHad-o-KHal badal deta hai
paTriyan dikhti hain dikhta hai samundar mujh ko
kaun KHwabon mein mujhe kus-e-ajal deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.