kaun guzra tha mehrab-e-jaan se abhi KHamushi KHamushi shor bharta hua
kaun guzra tha mehrab-e-jaan se abhi KHamushi KHamushi shor bharta hua
Ateequllah
MORE BYAteequllah
kaun guzrā thā mehrāb-e-jāñ se abhī ḳhāmushī ḳhāmushī shor bhartā huā
dhund meñ koī shai juuñ damaktī huī ik badan sā badan se ubhartā huā
sarf kartī huī jaise sā'at koī lamha koī farāmosh kartā huā
phir na jaane kahāñ TuuT kar jā girā ek saaya saroñ se guzartā huā
ek 'umr-e-gurezāñ kī mohlat bahut phailtā hī gayā maiñ ufuq-tā-ufuq
mere bātin ko chhūtī huī vo nigah aur maiñ chāroñ taraf paañv dhartā huā
ye jo uḌtī huī sā.at-e-ḳhvāb hai kitnī mahsūs hai kitnī nāyāb hai
phuul palkoñ se chuntī huī raushnī aur maiñ ḳhushbueñ tahrīr kartā huā
mere bas meñ the saare zamān-o-makāñ lek maiñ dekhtā rah gayā iin o aañ
chal diyā le ke chuTkī meñ koī zamīñ āsmāñ āsmāñ gard kartā huā
apnī maujūdgī se thā maiñ be-ḳhabar dekhtā kyā huuñ aise meñ yak-dam idhar
qat' kartī huī shab ke pahlū meñ ik aadmī TūTtā aur bikhartā huā
kaun guzra tha mehrab-e-jaan se abhi KHamushi KHamushi shor bharta hua
dhund mein koi shai jun damakti hui ek badan sa badan se ubharta hua
sarf karti hui jaise sa'at koi lamha koi faramosh karta hua
phir na jaane kahan TuT kar ja gira ek saya saron se guzarta hua
ek 'umr-e-gurezan ki mohlat bahut phailta hi gaya main ufuq-ta-ufuq
mere baatin ko chhuti hui wo nigah aur main chaaron taraf panw dharta hua
ye jo uDti hui saat-e-KHwab hai kitni mahsus hai kitni nayab hai
phul palkon se chunti hui raushni aur main KHushbuen tahrir karta hua
mere bas mein the sare zaman-o-makan lek main dekhta rah gaya in o aan
chal diya le ke chuTki mein koi zamin aasman aasman gard karta hua
apni maujudgi se tha main be-KHabar dekhta kya hun aise mein yak-dam idhar
qat' karti hui shab ke pahlu mein ek aadmi TuTta aur bikharta hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.