kaun hai duniya mein mera jaan-e-jaan tere baghair
kaun hai duniyā meñ merā jān-e-jāñ tere baġhair
huuñ falak ke sā.ebāñ meñ be-amāñ tere baġhair
tū hī manzil-āshnā thā ik tire jaane ke baad
rāstoñ meñ rah gayā har kārvāñ tere baġhair
dāstāñ ke darmiyāñ phir zikr terā aa gayā
kis tarah hotī mukammal dāstāñ tere baġhair
lab pe taale paḌ ga.e alfāz gūñge ho ga.e
harf har ik ho gayā hai be-zabāñ tere baġhair
ho gayā 'fārūq' būḌhā hijr ke sadmāt se
kis tarah rahtā javāñ vo naujavāñ tere baġhair
kaun hai duniya mein mera jaan-e-jaan tere baghair
hun falak ke saeban mein be-aman tere baghair
tu hi manzil-ashna tha ek tere jaane ke baad
raston mein rah gaya har karwan tere baghair
dastan ke darmiyan phir zikr tera aa gaya
kis tarah hoti mukammal dastan tere baghair
lab pe tale paD gae alfaz gunge ho gae
harf har ek ho gaya hai be-zaban tere baghair
ho gaya 'faruq' buDha hijr ke sadmat se
kis tarah rahta jawan wo naujawan tere baghair
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.