kaun hai jo yahan mehman hua chahta hai
kaun hai jo yahāñ mehmān huā chāhtā hai
ḳhāna-e-dil mirā vīrān huā chāhtā hai
rang pe rang badaltī hai ye duniyā kaise
kyā se kyā dard kā 'unvān huā chāhtā hai
un kī hijrat pe faqat ye dil-e-nādāñ hī nahīñ
shahr kā shahr hī sunsān huā chāhtā hai
dekh to ek nazar is ko ye terā bismil
ab tirī raah meñ qurbān huā chāhtā hai
tujh pe 'haidar' ne haiñ is darja raqam kī ġhazleñ
ab to ye sāhib-e-dīvān huā chāhtā hai
mar gayā aaj vo dīvāna sā shā'ir laḌkā
le tire shahr meñ e'lān huā chāhtā hai
aap kā hijr meñ kuchh bhī nahīñ jaanā lekin
merā har pal yahāñ nuqsān huā chāhtā hai
chhoḌ do mujh ko mire haal pe logo jaao
ab mujhe 'ishq kā 'irfān huā chāhtā hai
ik mo'amma hai jo bālā-e-ḳhirad hai 'haidar'
aadmī hazrat-e-insān huā chāhtā hai
kaun hai jo yahan mehman hua chahta hai
KHana-e-dil mera viran hua chahta hai
rang pe rang badalti hai ye duniya kaise
kya se kya dard ka 'unwan hua chahta hai
un ki hijrat pe faqat ye dil-e-nadan hi nahin
shahr ka shahr hi sunsan hua chahta hai
dekh to ek nazar is ko ye tera bismil
ab teri rah mein qurban hua chahta hai
tujh pe 'haidar' ne hain is darja raqam ki ghazlen
ab to ye sahib-e-diwan hua chahta hai
mar gaya aaj wo diwana sa sha'ir laDka
le tere shahr mein e'lan hua chahta hai
aap ka hijr mein kuchh bhi nahin jaana lekin
mera har pal yahan nuqsan hua chahta hai
chhoD do mujh ko mere haal pe logo jao
ab mujhe 'ishq ka 'irfan hua chahta hai
ek mo'amma hai jo baala-e-KHirad hai 'haidar'
aadmi hazrat-e-insan hua chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.