kaun hai kis ka sarapa nazar aata hai mujhe
kaun hai kis kā sarāpā nazar aatā hai mujhe
kaun ye ḳhvāb meñ har-vaqt Darātā hai mujhe
kar sakā un se na kuchh baat ba-vaqt-e-ruḳhsat
yahī ehsās akele meñ rulātā hai mujhe
pesh-ḳhema kisī sāzish kā nazar aatā hai
duur se jab koī ā.īna dikhātā hai mujhe
dauḌ paḌtā huuñ baḌe pyaar se be-ḳhauf-o-ḳhatar
koī chehra jo mohabbat se bulātā hai mujhe
ġhaur se suntā huuñ sar dhuntā huuñ ro paḌtā huuñ
jab koī naġhma-e-pur-dard sunātā hai mujhe
gard-ālūd fazā meñ dil-e-dīvāna mirā
shauq-e-parvāz ke andāz sikhātā hai mujhe
jaane kyoñ shahr-e-tamannā meñ 'kamāl' apnī tarah
aaj har shaḳhs pareshāñ nazar aatā hai mujhe
kaun hai kis ka sarapa nazar aata hai mujhe
kaun ye KHwab mein har-waqt Daraata hai mujhe
kar saka un se na kuchh baat ba-waqt-e-ruKHsat
yahi ehsas akele mein rulata hai mujhe
pesh-KHema kisi sazish ka nazar aata hai
dur se jab koi aaina dikhata hai mujhe
dauD paDta hun baDe pyar se be-KHauf-o-KHatar
koi chehra jo mohabbat se bulata hai mujhe
ghaur se sunta hun sar dhunta hun ro paDta hun
jab koi naghma-e-pur-dard sunata hai mujhe
gard-alud faza mein dil-e-diwana mera
shauq-e-parwaz ke andaz sikhata hai mujhe
jaane kyon shahr-e-tamanna mein 'kamal' apni tarah
aaj har shaKHs pareshan nazar aata hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.