kaun hai qaum ka meamar chalo dekhenge
kaun hai qaum kā me.amār chalo dekheñge
kis meñ hai jazba-e-īsār chalo dekheñge
jin ke saa.e meñ baḌā dil ko sukūñ miltā thā
kyā salāmat haiñ vo ashjār chalo dekheñge
vaqt kī dhuñd meñ mumkin hai bichhaḌ jā.egā
aadmī jo hai milansār chalo dekheñge
qadr-dāñ us ke hunar ke haiñ hazāroñ phir bhī
kyoñ pareshān hai fan-kār chalo dekheñge
ek hī ghar meñ rahā karte the donoñ bhaa.ī
kyoñ khaḌī ho ga.ī dīvār chalo dekheñge
dar-o-dīvār imārat ke to faulādī the
ho ga.ī kaise vo mismār chalo dekheñge
us kī guftārī meñ shāmil hai sadāqat kī mahak
kaun hai sāhib-e-kirdār chalo dekheñge
piiTh pe vaar nahīñ kartā sipāhī koī
kaun hai fauj kā sālār chalo dekheñge
jis kī azmat kā bayāñ tum ne sunā hai ai 'azīz'
apnī āñkhoñ se vo darbār chalo dekheñge
kaun hai qaum ka meamar chalo dekhenge
kis mein hai jazba-e-isar chalo dekhenge
jin ke sae mein baDa dil ko sukun milta tha
kya salamat hain wo ashjar chalo dekhenge
waqt ki dhund mein mumkin hai bichhaD jaega
aadmi jo hai milansar chalo dekhenge
qadr-dan us ke hunar ke hain hazaron phir bhi
kyon pareshan hai fan-kar chalo dekhenge
ek hi ghar mein raha karte the donon bhai
kyon khaDi ho gai diwar chalo dekhenge
dar-o-diwar imarat ke to fauladi the
ho gai kaise wo mismar chalo dekhenge
us ki guftari mein shamil hai sadaqat ki mahak
kaun hai sahib-e-kirdar chalo dekhenge
piTh pe war nahin karta sipahi koi
kaun hai fauj ka salar chalo dekhenge
jis ki azmat ka bayan tum ne suna hai ai 'aziz'
apni aankhon se wo darbar chalo dekhenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.