Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaun hai rahbar kaun hai rahzan main bhi sochun tu bhi soch

Shauq Jalandhari

kaun hai rahbar kaun hai rahzan main bhi sochun tu bhi soch

Shauq Jalandhari

MORE BYShauq Jalandhari

    kaun hai rahbar kaun hai rahzan maiñ bhī sochūñ bhī soch

    chaak kiyā hai kis ne dāman maiñ bhī sochūñ bhī soch

    laḌte kyoñ haiñ shaiḳh-o-barahman maiñ bhī sochūñ bhī soch

    kaise ho mazbūt ye bandhan maiñ bhī sochūñ bhī soch

    ek baaġh ke phuul haiñ jab ham phir ye kis sāzish se

    zad meñ ḳhizāñ hai ye gulshan maiñ bhī sochūñ bhī soch

    dil baat jo pūchho ham se sab kursī ke jhagḌe haiñ

    kaise ho ab duur ye uljhan maiñ bhī sochūñ bhī soch

    phuul phuul the jab hāthoñ meñ phir kis haath ke patthar ne

    chuur kiyā hai dil darpan maiñ bhī sochūñ to bhī soch

    dekh ke apne desh hālat ḳhuun ke aañsū rote haiñ

    tez huī kyoñ dil dhaḌkan maiñ bhī sochūñ bhī soch

    'shauq' saverā kab āye.gā kaise mil kar log raheñ

    aslam david devkī nandan maiñ bhī sochūñ bhī soch

    kaun hai rahbar kaun hai rahzan main bhi sochun tu bhi soch

    chaak kiya hai kis ne daman main bhi sochun tu bhi soch

    laDte kyon hain shaiKH-o-barahman main bhi sochun tu bhi soch

    kaise ho mazbut ye bandhan main bhi sochun tu bhi soch

    ek hi bagh ke phul hain jab hum phir ye kis ki sazish se

    zad mein KHizan ki hai ye gulshan main bhi sochun tu bhi soch

    dil ki baat jo puchho hum se sab kursi ke jhagDe hain

    kaise ho ab dur ye uljhan main bhi sochun tu bhi soch

    phul hi phul the jab hathon mein phir kis hath ke patthar ne

    chur kiya hai dil ka darpan main bhi sochun to bhi soch

    dekh ke apne desh ki haalat KHun ke aansu rote hain

    tez hui kyon dil ki dhaDkan main bhi sochun tu bhi soch

    'shauq' sawera kab aayega kaise mil kar log rahen

    aslam dawid dewki nandan main bhi sochun tu bhi soch

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now