kaun hai tujhse jo do-chaar nahin
kaun hai tujh se jo do-chār nahīñ
ek maiñ hī gunāhgār nahīñ
haa.e fasl-e-bahār-e-josh-e-junūñ
yaañ garebāñ meñ ek taar nahīñ
saikḌoñ dard ik nahīñ darmāñ
laakh ġham koī ġham-gusār nahīñ
ham nahīñ vo jo ek bhī māneñ
aap karte raheñ hazār nahīñ
sab sahī gul bhī mai bhī mutrib bhī
tū nahīñ hai to kuchh bahār nahīñ
vasl kyā jab na hijr ke hoñ maze
vā'da kyā jis kā intizār nahīñ
ġhair se mil ke kyoñ nikālte ho
maiñ kudūrat kā kuchh ġhubār nahīñ
haath aa jaa.e aap kā dāman
hashr kā bhī kuchh intizār nahīñ
kyā sabāt-e-do-roza par mere
zindagī kā kuchh e'tibār nahīñ
saikḌoñ baar ġhair se bigḌī
maiñ to maiñ tum kisī ke yaar nahīñ
us ke kushtoñ kā kyā pata 'sho.ala'
kahīñ turbat nahīñ mazār nahīñ
kaun hai tujh se jo do-chaar nahin
ek main hi gunahgar nahin
hae fasl-e-bahaar-e-josh-e-junun
yan gareban mein ek tar nahin
saikDon dard ek nahin darman
lakh gham koi gham-gusar nahin
hum nahin wo jo ek bhi manen
aap karte rahen hazar nahin
sab sahi gul bhi mai bhi mutrib bhi
tu nahin hai to kuchh bahaar nahin
wasl kya jab na hijr ke hon maze
wa'da kya jis ka intizar nahin
ghair se mil ke kyon nikalte ho
main kudurat ka kuchh ghubar nahin
hath aa jae aap ka daman
hashr ka bhi kuchh intizar nahin
kya sabaat-e-do-roza par mere
zindagi ka kuchh e'tibar nahin
saikDon bar ghair se bigDi
main to main tum kisi ke yar nahin
us ke kushton ka kya pata 'shoala'
kahin turbat nahin mazar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.