kaun haq pe hai kaun baatil hai
kaun haq pe hai kaun bātil hai
faisla ye baḌā hī mushkil hai
rū-e-tābāñ tumhārā kāmil hai
aa.ina kab tumhāre qābil hai
kitnī bechainiyāñ sameTe hue
kitnī ḳhāmosh mauj-e-sāhil hai
merī turbat pe aa ke rotā hai
kaisā zālim ye merā qātil hai
ab charāġhoñ pe bas nahīñ chaltā
kaun āñdhī ke ab muqābil hai
jis ko maiñ ne masīhā samjhā thā
aazmā kar mujhe vo qaa.il hai
'shād' maano yā phir nahīñ maano
maut hī zindagī kī manzil hai
kaun haq pe hai kaun baatil hai
faisla ye baDa hi mushkil hai
ru-e-taban tumhaara kaamil hai
aaina kab tumhaare qabil hai
kitni bechainiyan sameTe hue
kitni KHamosh mauj-e-sahil hai
meri turbat pe aa ke rota hai
kaisa zalim ye mera qatil hai
ab charaghon pe bas nahin chalta
kaun aandhi ke ab muqabil hai
jis ko main ne masiha samjha tha
aazma kar mujhe wo qail hai
'shad' mano ya phir nahin mano
maut hi zindagi ki manzil hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.