kaun itna kahe qatil se ki isa ho ja
kaun itnā kahe qātil se ki 'iisā ho jā
ho ke maslūb tū aflāk se ūñchā ho jā
chārāgar koī kahāñ kartā hai chārasāzī
ai mire zaḳhm-e-jigar aap hī achchhā ho jā
aaj be-mehr zamāne meñ baḌī baat hai ye
ġham ke māroñ ke liye ek dilāsā ho jā
zindagī chain se apnī jo basar karnī hai
chhoḌ de sab ko mirī jaan akelā ho jā
jitnī bhī aag vo barsā.e magar maiñ 'ḳhālid'
kaise suraj se ye kah duuñ ki tū ThanDā ho jā
kaun itna kahe qatil se ki 'isa ho ja
ho ke maslub tu aflak se uncha ho ja
chaaragar koi kahan karta hai chaarasazi
ai mere zaKHm-e-jigar aap hi achchha ho ja
aaj be-mehr zamane mein baDi baat hai ye
gham ke maron ke liye ek dilasa ho ja
zindagi chain se apni jo basar karni hai
chhoD de sab ko meri jaan akela ho ja
jitni bhi aag wo barsae magar main 'KHalid'
kaise suraj se ye kah dun ki tu ThanDa ho ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.