kaun jaane hai ye di kis ne dua jine ki
kaun jaane hai ye dī kis ne duā jiine kī
maiñ ne har saañs meñ paa.ī hai sazā jiine kī
dil ke TukḌe jo liye phirtā huuñ qarya qarya
ba-ḳhudā kaisī huī mujh se ḳhatā jiine kī
ik to is shahr kā har shaḳhs huā hai dushman
us pe bhārī hai ye mujh par bhī qazā jiine kī
zindagī vaise bhī rūThī sī chalī jaatī thī
ab to mohlat bhī nahīñ jān-e-vafā jiine kī
sāqiyā dil mirā lagtā nahīñ mai-ḳhānoñ meñ
mujh ko tadbīr koī aur batā jiine kī
vo haiñ betāb nayā zaḳhm lagāne ke liye
ik ghaḌī aur mujhe de de ḳhudā jiine kī
ai dil-e-ḳhasta tujhe le ke kahāñ jaa.eñ ham
zahr-e-ġham ko bhī vo kahte haiñ davā jiine kī
dil se utre hue bekār haiñ ham bhī 'barham'
raas aatī nahīñ ham ko bhī fazā jiine kī
kaun jaane hai ye di kis ne dua jine ki
main ne har sans mein pai hai saza jine ki
dil ke TukDe jo liye phirta hun qarya qarya
ba-KHuda kaisi hui mujh se KHata jine ki
ek to is shahr ka har shaKHs hua hai dushman
us pe bhaari hai ye mujh par bhi qaza jine ki
zindagi waise bhi ruThi si chali jati thi
ab to mohlat bhi nahin jaan-e-wafa jine ki
saqiya dil mera lagta nahin mai-KHanon mein
mujh ko tadbir koi aur bata jine ki
wo hain betab naya zaKHm lagane ke liye
ek ghaDi aur mujhe de de KHuda jine ki
ai dil-e-KHasta tujhe le ke kahan jaen hum
zahr-e-gham ko bhi wo kahte hain dawa jine ki
dil se utre hue bekar hain hum bhi 'barham'
ras aati nahin hum ko bhi faza jine ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.