kaun jaane hoga kya ye majra hone ke baad
kaun jaane hogā kyā ye mājrā hone ke baa'd
jism phīkā paḌ gayā rang-e-qabā hone ke baa'd
aql kī harza-sarā.ī zehn kī āvārgī
mujh ko sab kuchh mil gayā tujh se judā hone ke baa'd
shukr hai fāriġh hue de kar hisāb-e-zindagī
ek aañsū bach rahā sab kuchh adā hone ke baa'd
saarī ḳhushiyāñ kaisī be-tābī se ruḳhsat ho ga.iiñ
log masjid se uTheñ jaise duā hone ke baa'd
shola-e-javvāla jab tak the to the ātish-mizāj
ḳhunkī-e-ahl-e-vafā ab haiñ 'sabā' hone ke baa'd
kaun jaane hoga kya ye majra hone ke ba'd
jism phika paD gaya rang-e-qaba hone ke ba'd
aql ki harza-sarai zehn ki aawargi
mujh ko sab kuchh mil gaya tujh se juda hone ke ba'd
shukr hai farigh hue de kar hisab-e-zindagi
ek aansu bach raha sab kuchh ada hone ke ba'd
sari KHushiyan kaisi be-tabi se ruKHsat ho gain
log masjid se uThen jaise dua hone ke ba'd
shola-e-jawwala jab tak the to the aatish-mizaj
KHunki-e-ahl-e-wafa ab hain 'saba' hone ke ba'd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.