kaun jaane ki taKHayyul mein hain paikar kitne
kaun jaane ki taKHayyul mein hain paikar kitne
Chandra Parkash Jauhar Bijnauri
MORE BYChandra Parkash Jauhar Bijnauri
kaun jaane ki taḳhayyul meñ haiñ paikar kitne
but tarāshegā abhī aur ye aazar kitne
ham ne ik qatre kā ehsān gavārā na kiyā
pī ga.e log ḳhudā jaane samundar kitne
yaad aate hī tirī aa.e ḳhayāloñ ke hujūm
ek paikar se tarāshe ga.e paikar kitne
ho vo maz.hab kā labāda ki siyāsat kā libās
log phirte haiñ yahāñ bhes badal kar kitne
shahr phūloñ kā jise ham ne samajh rakkhā thā
ham pe pheñke ga.e us shahr meñ patthar kitne
jo kuchh in āñkhoñ ne dekhā hai vahī kyā kam thā
aur dekheñge abhī dekhiye manzar kitne
ek saaqī ke na hone se hai māhaul udaas
aaj toḌe ga.e maiḳhāne meñ sāġhar kitne
bijliyāñ girtīñ chaman par to koī baat na thī
ātish-e-gul ne jalā.e haiñ yahāñ ghar kitne
dil vo qatra hai ki hastī nahīñ jis kī mahdūd
isī qatre meñ haiñ poshīda samundar kitne
ek tum hī nahīñ duniyā-e-adab meñ 'jauhar'
haiñ isī bahr meñ kyā jāniye gauhar kitne
kaun jaane ki taKHayyul mein hain paikar kitne
but tarashega abhi aur ye aazar kitne
hum ne ek qatre ka ehsan gawara na kiya
pi gae log KHuda jaane samundar kitne
yaad aate hi teri aae KHayalon ke hujum
ek paikar se tarashe gae paikar kitne
ho wo mazhab ka labaada ki siyasat ka libas
log phirte hain yahan bhes badal kar kitne
shahr phulon ka jise hum ne samajh rakkha tha
hum pe phenke gae us shahr mein patthar kitne
jo kuchh in aankhon ne dekha hai wahi kya kam tha
aur dekhenge abhi dekhiye manzar kitne
ek saqi ke na hone se hai mahaul udas
aaj toDe gae maiKHane mein saghar kitne
bijliyan girtin chaman par to koi baat na thi
aatish-e-gul ne jalae hain yahan ghar kitne
dil wo qatra hai ki hasti nahin jis ki mahdud
isi qatre mein hain poshida samundar kitne
ek tum hi nahin duniya-e-adab mein 'jauhar'
hain isi bahr mein kya jaaniye gauhar kitne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.