kaun jaane kitni baqi kis ke paimane mein hai
kaun jaane kitnī baaqī kis ke paimāne meñ hai
jitnā jis kā zarf hai utnī hī mai-ḳhāne meñ hai
ye tirā ehsān hai jo tū ne apnā ġham diyā
ġham meñ Dhal jaane kī 'ādat tere dīvāne meñ hai
kyā mirī rusvā.iyoñ meñ terī rusvā.ī nahīñ
naam terā bhī to shāmil mere afsāne meñ hai
āñsuoñ meñ jagmagātī haiñ tirī parchhā.iyāñ
kyā charāġhāñ kā ye manzar dil ke vīrāne meñ hai
kah rahī hai mujh se 'mohan' chashm-e-sāqī baar baar
mai-kashī kā lutf pī kar hī sañbhal jaane meñ hai
kaun jaane kitni baqi kis ke paimane mein hai
jitna jis ka zarf hai utni hi mai-KHane mein hai
ye tera ehsan hai jo tu ne apna gham diya
gham mein Dhal jaane ki 'adat tere diwane mein hai
kya meri ruswaiyon mein teri ruswai nahin
nam tera bhi to shamil mere afsane mein hai
aansuon mein jagmagati hain teri parchhaiyan
kya charaghan ka ye manzar dil ke virane mein hai
kah rahi hai mujh se 'mohan' chashm-e-saqi bar bar
mai-kashi ka lutf pi kar hi sanbhal jaane mein hai
- Book : Nuquush-e-daaG (Pg. 234)
- Author : Sahir Hoshiyarpuri
- Publication : Haryana Urdu Acadami (1992)
- Edition : 1992
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.