kaun kah sakta hai ab un ko KHata ke dhabbe
kaun kah saktā hai ab un ko ḳhatā ke dhabbe
ujlī poshāk meñ phirte haiñ nahā ke dhabbe
ab bhī kartā huuñ vo maḳhmal sī hathelī mahsūs
ab bhī maujūd haiñ dāman pe hinā ke dhabbe
ġham ke sahrā se nikal aa.e the shāyad kuchh log
kitne chehroñ pe nazar aa.e havā ke dhabbe
is tarah log to pahchān liye jaate kuchh
kaash māthoñ pe ubhar aa.eñ daġhā ke dhabbe
rog baaqī na rahā mar ga.e rogī bhī sab
rah ga.e aaj bhī dāman pe davā ke dhabbe
is liye apnī ḳhatā dekh na paa.e tum bhī
dil ke shīshe pe the 'afroz' anā ke dhabbe
kaun kah sakta hai ab un ko KHata ke dhabbe
ujli poshak mein phirte hain naha ke dhabbe
ab bhi karta hun wo maKHmal si hatheli mahsus
ab bhi maujud hain daman pe hina ke dhabbe
gham ke sahra se nikal aae the shayad kuchh log
kitne chehron pe nazar aae hawa ke dhabbe
is tarah log to pahchan liye jate kuchh
kash mathon pe ubhar aaen dagha ke dhabbe
rog baqi na raha mar gae rogi bhi sab
rah gae aaj bhi daman pe dawa ke dhabbe
is liye apni KHata dekh na pae tum bhi
dil ke shishe pe the 'afroz' ana ke dhabbe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.