kaun kahta hai ki benam-o-nishan ho jaunga
kaun kahtā hai ki benām-o-nishāñ ho jā.ūñgā
Duub kar maiñ qatre qatre se ayaañ ho jā.ūñgā
dekhnā chheḌūñgā maqtal meñ bhī sāz-e-sarmadī
ishq par jab zulm hogā naġhma-ḳhvāñ ho jā.ūñgā
motī ban kar sīpiyoñ meñ aap raushan haiñ agar
maiñ bhī giilī ret par gauhar-e-fishāñ ho jā.ūñgā
saarī duniyā se judā hai merī fitrat kā mizāj
jis qadar simTūñgā utnā be-karāñ ho jā.ūñgā
mere hote zindagī be-rang ho saktī nahīñ
nabz-e-ālam meñ lahū ban kar ravāñ ho jā.ūñgā
jab muarriḳh merī hastī par uThā.egā qalam
intihā ye hai ki terī dāstāñ ho jā.ūñgā
hasratoñ kī manzileñ ro.eñgī mere haal par
aise āvāra musāfir kā nishāñ ho jā.ūñgā
ye bahut dushvār hai lekin tumhāre vāste
maiñ tumhāre aur apne darmiyāñ ho jā.ūñgā
chahchahā.ūñgā bahāroñ meñ parindoñ kī tarah
pattharoñ kī vādiyoñ meñ be-zabāñ ho jā.ūñgā
gulsitāñ faanī sahī tum ho magar ḳhushbū kā ḳhvāb
maiñ tumhārā giit ban kar jāvedāñ ho jā.ūñgā
jab samundar mere siine meñ samā jā.egā 'prem'
har bhañvar kī aabrū kā imtihāñ ho jā.ūñgā
kaun kahta hai ki benam-o-nishan ho jaunga
Dub kar main qatre qatre se ayan ho jaunga
dekhna chheDunga maqtal mein bhi saz-e-sarmadi
ishq par jab zulm hoga naghma-KHwan ho jaunga
moti ban kar sipiyon mein aap raushan hain agar
main bhi gili ret par gauhar-e-fishan ho jaunga
sari duniya se juda hai meri fitrat ka mizaj
jis qadar simTunga utna be-karan ho jaunga
mere hote zindagi be-rang ho sakti nahin
nabz-e-alam mein lahu ban kar rawan ho jaunga
jab muarriKH meri hasti par uThaega qalam
intiha ye hai ki teri dastan ho jaunga
hasraton ki manzilen roengi mere haal par
aise aawara musafir ka nishan ho jaunga
ye bahut dushwar hai lekin tumhaare waste
main tumhaare aur apne darmiyan ho jaunga
chahchahaunga bahaaron mein parindon ki tarah
pattharon ki wadiyon mein be-zaban ho jaunga
gulsitan fani sahi tum ho magar KHushbu ka KHwab
main tumhaara git ban kar jawedan ho jaunga
jab samundar mere sine mein sama jaega 'prem'
har bhanwar ki aabru ka imtihan ho jaunga
- Book : Khushbu Ka Khwab (Pg. 164)
- Author : Prem Warbartani
- Publication : Miss V. D. Kakkad (1976)
- Edition : 1976
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.