kaun kahta hai ki is bazm se sarkar gae
kaun kahtā hai ki is bazm se sarkār ga.e
ab to sarkār hī sarkār haiñ aġhyār ga.e
āfat-e-jāñ koī be-parda-e-āb-o-gil hai
marne vaale na mare aah hameñ maar ga.e
vo jinheñ hosh ho jāneñ vahī ānā-jānā
ham to hushiyār na aa.e the na hushiyār ga.e
aap kī bazm meñ dekhā ye nirālā dastūr
laa.e pindār vo lekar vahī pindār ga.e
ab na ham apne na duniyā kī koī shai apnī
ek hī daav meñ jo kuchh thā vo sab haar ga.e
kyā ḳhabar hai kisī āsūda-e-sāhil ko 'zahīn'
un meñ ham Duub ga.e duur ga.e haar ga.e
kaun kahta hai ki is bazm se sarkar gae
ab to sarkar hi sarkar hain aghyar gae
aafat-e-jaan koi be-parda-e-ab-o-gil hai
marne wale na mare aah hamein mar gae
wo jinhen hosh ho jaanen wahi aana-jaana
hum to hushiyar na aae the na hushiyar gae
aap ki bazm mein dekha ye nirala dastur
lae pindar wo lekar wahi pindar gae
ab na hum apne na duniya ki koi shai apni
ek hi daw mein jo kuchh tha wo sab haar gae
kya KHabar hai kisi aasuda-e-sahil ko 'zahin'
un mein hum Dub gae dur gae haar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.