kaun kahta hai ki mahrum-e-karam hain hum log
kaun kahtā hai ki mahrūm-e-karam haiñ ham log
lutf-andoz-e-jafā mahv-e-sitam haiñ ham log
zulf suljhī hai to ik husn nikhar aayā hai
is taraf dekh ki ā.īna-e-ġham haiñ ham log
koī ḳhātir meñ na laa.e to na laa.e lekin
shāyad is daur-e-mohabbat meñ aham haiñ ham log
lā.eq-e-lutf-o-ināyat nahīñ ham ahl-e-vafā
kyā kahā ye ki sazā-vār-e-sitam haiñ ham log
kam nahīñ terā taġhāful bhī jafā ho ki na ho
is meñ kyā shak hai ki mamnūn-e-karam haiñ ham log
ahl-e-ka.aba ko shikāyat hai to bejā bhī nahīñ
ki haqīqat meñ parastār-e-sanam haiñ ham log
fāsla kuchh bhī nahīñ hai magar idrāk kahāñ
aap se duur to do-chār qadam haiñ ham log
aap allāma-o-fankār haiñ 'nudrat' lekin
ye to farmā.iye kis baat meñ kam haiñ ham log
kaun kahta hai ki mahrum-e-karam hain hum log
lutf-andoz-e-jafa mahw-e-sitam hain hum log
zulf suljhi hai to ek husn nikhar aaya hai
is taraf dekh ki aaina-e-gham hain hum log
koi KHatir mein na lae to na lae lekin
shayad is daur-e-mohabbat mein aham hain hum log
laeq-e-lutf-o-inayat nahin hum ahl-e-wafa
kya kaha ye ki saza-war-e-sitam hain hum log
kam nahin tera taghaful bhi jafa ho ki na ho
is mein kya shak hai ki mamnun-e-karam hain hum log
ahl-e-kaba ko shikayat hai to beja bhi nahin
ki haqiqat mein parastar-e-sanam hain hum log
fasla kuchh bhi nahin hai magar idrak kahan
aap se dur to do-chaar qadam hain hum log
aap allama-o-fankar hain 'nudrat' lekin
ye to farmaiye kis baat mein kam hain hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.