kaun kahta hai ki teri justuju karte rahe
kaun kahtā hai ki terī justujū karte rahe
sāda-dil ushshāq sharh-e-ārzū karte rahe
ġham kī bastī meñ karoḌoñ chāk-dāmān-e-alam
ziist ke har daur meñ fikr-e-rafū karte rahe
jis ne baḳhshā hī nahīñ kuchh sozish-e-ġham ke sivā
zindagī bhar ham usī kī aarzū karte rahe
ye thī nā-samjhī hamārī chhoḌ kar apnā dayār
tere kūche meñ talāsh-e-rang-o-bū karte rahe
ai dil-e-ḳhāna-ḳharāb us paikar-e-gul kī talāsh
dar-ba-dar sahrā-ba-sahrā kū-ba-kū karte rahe
kaun kahta hai ki teri justuju karte rahe
sada-dil ushshaq sharh-e-arzu karte rahe
gham ki basti mein karoDon chaak-daman-e-alam
zist ke har daur mein fikr-e-rafu karte rahe
jis ne baKHsha hi nahin kuchh sozish-e-gham ke siwa
zindagi bhar hum usi ki aarzu karte rahe
ye thi na-samjhi hamari chhoD kar apna dayar
tere kuche mein talash-e-rang-o-bu karte rahe
ai dil-e-KHana-KHarab us paikar-e-gul ki talash
dar-ba-dar sahra-ba-sahra ku-ba-ku karte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.