kaun kahta hai ki wo us par hai
kaun kahtā hai ki vo us paar hai
vo yahīñ hai bas pas-e-dīvār hai
ishq ko gar āñsūoñ se pyaar hai
ham ko bhī rone se kab inkār hai
zindagī raqsāñ hai us kī qabr par
zindagī se jo rahā bezār hai
us taraf mat jā.iye hai dil vahāñ
nā-tavāñ Dhahtī huī dīvār hai
ruuh kī nagrī meñ chārāgar milā
rābta us se magar dushvār hai
jā.iye jab bhī koī haa.il nahīñ
yaad kā ghar be-dar-o-dīvār hai
jo nahīñ tujh ko milā 'mīrā' to kyā
jo milā vo bhī to sab bekār hai
kaun kahta hai ki wo us par hai
wo yahin hai bas pas-e-diwar hai
ishq ko gar aansuon se pyar hai
hum ko bhi rone se kab inkar hai
zindagi raqsan hai us ki qabr par
zindagi se jo raha bezar hai
us taraf mat jaiye hai dil wahan
na-tawan Dhahti hui diwar hai
ruh ki nagri mein chaaragar mila
rabta us se magar dushwar hai
jaiye jab bhi koi hail nahin
yaad ka ghar be-dar-o-diwar hai
jo nahin tujh ko mila 'mira' to kya
jo mila wo bhi to sab bekar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.