kaun karta sar-e-darbar himayat meri
kaun kartā sar-e-darbār himāyat merī
taḳhta-e-dār pe khīñchī ga.ī jur.at merī
ghar paḌosī ke mire aaj bhī chūlhā na jalā
masjidoñ meñ rahī mahdūd ibādat merī
merā qātil mirā sar le ke bhī shādāñ na huā
sar nahīñ us ko to maqsūd thī bai'at merī
mere TuuTe hue par dekh ke hañsne vaalo
maiñ uḌūñgā abhī TuuTī nahīñ himmat merī
ek se chehre yahāñ ek sī āvāzeñ haiñ
aisī bastī meñ hai pahchān salāmat merī
maiñ ne gahrā.iyāñ naapī haiñ samundar kī miyāñ
tum ne be-mol ḳharīdī hai mahārat merī
vaz.a-dārī to mire ḳhuun meñ shāmil hai 'zamīr'
ab zamīneñ haiñ na jāgīr na daulat merī
kaun karta sar-e-darbar himayat meri
taKHta-e-dar pe khinchi gai jurat meri
ghar paDosi ke mere aaj bhi chulha na jala
masjidon mein rahi mahdud ibaadat meri
mera qatil mera sar le ke bhi shadan na hua
sar nahin us ko to maqsud thi bai'at meri
mere TuTe hue par dekh ke hansne walo
main uDunga abhi TuTi nahin himmat meri
ek se chehre yahan ek si aawazen hain
aisi basti mein hai pahchan salamat meri
main ne gahraiyan napi hain samundar ki miyan
tum ne be-mol KHaridi hai mahaarat meri
waza-dari to mere KHun mein shamil hai 'zamir'
ab zaminen hain na jagir na daulat meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.