kaun kis baat par KHafa ho jae
kaun kis baat par ḳhafā ho jaa.e
kuchh na bolūñ agar patā ho jaa.e
mujh ko raste meñ chhoḌne vaale
tū kisī aur se judā ho jaa.e
apne dil kā bayān le liije
is se pahle ki faisla ho jaa.e
lagne lagtā huuñ ḳhud ko maiñ achchhā
sāmne vaalā jab burā ho jaa.e
kaun sajde meñ sar jhukā.egā
shahr kā shahr jab ḳhudā ho jaa.e
mujh ko jannat kī samt le jaao
is se pahle ki kuchh ḳhatā ho jaa.e
maiñ bhī ik hijr kaaT aaya huuñ
tujh ko bhī ishq dūsrā ho jaa.e
kaun kis baat par KHafa ho jae
kuchh na bolun agar pata ho jae
mujh ko raste mein chhoDne wale
tu kisi aur se juda ho jae
apne dil ka bayan le lije
is se pahle ki faisla ho jae
lagne lagta hun KHud ko main achchha
samne wala jab bura ho jae
kaun sajde mein sar jhukaega
shahr ka shahr jab KHuda ho jae
mujh ko jannat ki samt le jao
is se pahle ki kuchh KHata ho jae
main bhi ek hijr kaT aaya hun
tujh ko bhi ishq dusra ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.