kaun kis ka azab hota hai
kaun kis kā 'azāb hotā hai
sab kā apnā hisāb hotā hai
rog lagtā hai jin ke siine ko
un kā aañsū gulāb hotā hai
tum ne rokā ho jis qadar us ko
'ishq to be-hisāb hotā hai
husn chhuptā nahīñ chhupāne se
kuchh to lāzim hijāb hotā hai
jo samajhte nahīñ mirī manshā
bas unheñ ijtināb hotā hai
ham ġhalat haiñ ġhalat hī rahne do
kaun behtar janāb hotā hai
niiñd aatī nahīñ kabhī un ko
jin kī āñkhoñ meñ ḳhvāb hotā hai
hashr apnā bigāḌ lete haiñ
tab vo hāsil ḳhitāb hotā hai
ab to hālāt dekh kar mujh ko
dard bhī be-hisāb hotā hai
bol paatā nahīñ jo bātoñ se
us kā chehra kitāb hotā hai
jo kisī ko nahīñ huā hāsil
vo mirā intiḳhāb hotā hai
dil usī zad meñ qaid rahtā hai
jo nahīñ dastyāb hotā hai
dil ko samjhā liyā magar phir bhī
kyoñ mujhe iztirāb hotā hai
sach to mā'lūm bhī nahīñ paḌtā
har kisī par naqāb hotā hai
vaqt de kar 'umūd' dekho nā
kaun ḳhud be-naqāb hotā hai
kaun kis ka 'azab hota hai
sab ka apna hisab hota hai
rog lagta hai jin ke sine ko
un ka aansu gulab hota hai
tum ne roka ho jis qadar us ko
'ishq to be-hisab hota hai
husn chhupta nahin chhupane se
kuchh to lazim hijab hota hai
jo samajhte nahin meri mansha
bas unhen ijtinab hota hai
hum ghalat hain ghalat hi rahne do
kaun behtar janab hota hai
nind aati nahin kabhi un ko
jin ki aankhon mein KHwab hota hai
hashr apna bigaD lete hain
tab wo hasil KHitab hota hai
ab to haalat dekh kar mujh ko
dard bhi be-hisab hota hai
bol pata nahin jo baaton se
us ka chehra kitab hota hai
jo kisi ko nahin hua hasil
wo mera intiKHab hota hai
dil usi zad mein qaid rahta hai
jo nahin dastyab hota hai
dil ko samjha liya magar phir bhi
kyon mujhe iztirab hota hai
sach to ma'lum bhi nahin paDta
har kisi par naqab hota hai
waqt de kar 'umud' dekho na
kaun KHud be-naqab hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.