kaun marta hai kise maut miTa deti hai
kaun martā hai kise maut miTā detī hai
niiñd aa jaatī hai jab umr thakā detī hai
sho.ala-e-jazb-e-mohabbat ko havā detī hai
be-ruḳhī aur bhī kuchh shauq baḌhā detī hai
ziist ke jehd-e-musalsal kā hai vaqfa ye maut
zindagī ko nayā kirdār fanā detī hai
terī har shoḳh nazar fitna-gar-e-ālam hai
terī har chaal qayāmat ko sadā detī hai
fasl-e-gul jaise mire ghar meñ chhupī ho ki ḳhizāñ
aa ke darvāze kī zanjīr hilā detī hai
har na.ī shaam jalāte haiñ umīdoñ ke diye
har na.ī sub.h unheñ aa ke bujhā detī hai
dil magan ho to safar dhuup meñ kaT jaatā hai
varna ye chhāñv bhī tan-man ko jalā detī hai
muntashir baal ye aañsū ye shikasta dāman
ḳhastagī ghar ke ujaḌne kā patā detī hai
tere chehre pe tafakkur kī jhalak ai 'shāriq'
tere andar kā chhupā raaz batā detī hai
kaun marta hai kise maut miTa deti hai
nind aa jati hai jab umr thaka deti hai
shoala-e-jazb-e-mohabbat ko hawa deti hai
be-ruKHi aur bhi kuchh shauq baDha deti hai
zist ke jehd-e-musalsal ka hai waqfa ye maut
zindagi ko naya kirdar fana deti hai
teri har shoKH nazar fitna-gar-e-alam hai
teri har chaal qayamat ko sada deti hai
fasl-e-gul jaise mere ghar mein chhupi ho ki KHizan
aa ke darwaze ki zanjir hila deti hai
har nai sham jalate hain umidon ke diye
har nai subh unhen aa ke bujha deti hai
dil magan ho to safar dhup mein kaT jata hai
warna ye chhanw bhi tan-man ko jala deti hai
muntashir baal ye aansu ye shikasta daman
KHastagi ghar ke ujaDne ka pata deti hai
tere chehre pe tafakkur ki jhalak ai 'shaariq'
tere andar ka chhupa raaz bata deti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.