kaun marta hai zindagi ke liye
kaun martā hai zindagī ke liye
jī rahā huuñ tirī ḳhushī ke liye
ye mohabbat nahīñ to phir kyā hai
aadmī taḌpe aadmī ke liye
dekhiye kyā hai shām-e-ġham kā haal
koī be-tāb hai kisī ke liye
kabhī ham ne jo ḳhvāb dekhā thā
dil machaltā hai phir usī ke liye
ġham-e-jānāñ ġham-e-jahāñ ġham-e-zāt
laakh ġham ek aadmī ke liye
thī kise intizār kī mohlat
phir bhī taḌpā hai dil kisī ke liye
hai taqāzā-e-zindagī ki 'nazīr'
ġham uThāte haiñ sab ḳhushī ke liye
kaun marta hai zindagi ke liye
ji raha hun teri KHushi ke liye
ye mohabbat nahin to phir kya hai
aadmi taDpe aadmi ke liye
dekhiye kya hai sham-e-gham ka haal
koi be-tab hai kisi ke liye
kabhi hum ne jo KHwab dekha tha
dil machalta hai phir usi ke liye
gham-e-jaanan gham-e-jahan gham-e-zat
lakh gham ek aadmi ke liye
thi kise intizar ki mohlat
phir bhi taDpa hai dil kisi ke liye
hai taqaza-e-zindagi ki 'nazir'
gham uThate hain sab KHushi ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.