kaun mil jae sar-e-rahguzar kis ko KHabar
kaun mil jaa.e sar-e-rāhguzar kis ko ḳhabar
kis ke hamrāh kaTe kis kā safar kis ko ḳhabar
is qadar qurbateñ achchhī nahīñ ai sham' samajh
kab badal jaa.e havāoñ kī nazar kis ko ḳhabar
tū ne siine se jinheñ aaj lagā rakkhā hai
dil se vo log hī jaa.eñ na utar kis ko ḳhabar
hai abhī zauq-e-nazar saare nazāre chun lo
kal rahe yā na rahe kār-e-hunar kis ko ḳhabar
soch kar yaar kisī ko bhī nasīhat karnā
kaun sī baat kare kaisā asar kis ko ḳhabar
ye jo tāqoñ pe diye tā-ba-sahar jalte haiñ
kin añdheroñ se huā un kā guzar kis ko ḳhabar
ḳhvāb āñkhoñ meñ phir is Dar se sajā.e na ga.e
Tuut jaa.eñ ye kahīñ bār-e-digar kis ko ḳhabar
kaun mil jae sar-e-rahguzar kis ko KHabar
kis ke hamrah kaTe kis ka safar kis ko KHabar
is qadar qurbaten achchhi nahin ai sham' samajh
kab badal jae hawaon ki nazar kis ko KHabar
tu ne sine se jinhen aaj laga rakkha hai
dil se wo log hi jaen na utar kis ko KHabar
hai abhi zauq-e-nazar sare nazare chun lo
kal rahe ya na rahe kar-e-hunar kis ko KHabar
soch kar yar kisi ko bhi nasihat karna
kaun si baat kare kaisa asar kis ko KHabar
ye jo taqon pe diye ta-ba-sahar jalte hain
kin andheron se hua un ka guzar kis ko KHabar
KHwab aankhon mein phir is Dar se sajae na gae
Tut jaen ye kahin bar-e-digar kis ko KHabar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.