kaun mujhe ye samjhaega
kaun mujhe ye samjhā.egā
ḳhushbū ke pīchhe mat bhāgo
us kī manzil koī nahīñ hai
shaam kī had se duur na dekho
rañgoñ kī dahlīz se aage
kuchh bhī nahīñ hai
añdhiyāre kī saarī rāheñ
bhedoñ ke jañgal kī jānib jaatī haiñ
duur hī duur se an-jānī āvāzeñ
mujh ko apne paas bulātī haiñ
ḳhushbū ke pīchhe hī pīchhe
maiñ kis des meñ aa niklā huuñ
ik bojhal sī laash ke mānind
āvāzoñ ke is sāgar meñ
Duub gayā huuñ
kaun mujhe ye samjhaega
KHushbu ke pichhe mat bhago
us ki manzil koi nahin hai
sham ki had se dur na dekho
rangon ki dahliz se aage
kuchh bhi nahin hai
andhiyare ki sari rahen
bhedon ke jangal ki jaanib jati hain
dur hi dur se an-jaani aawazen
mujh ko apne pas bulati hain
KHushbu ke pichhe hi pichhe
main kis des mein aa nikla hun
ek bojhal si lash ke manind
aawazon ke is sagar mein
Dub gaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.