kaun nazren gaDae chilman mein
kaun nazreñ gaḌā.e chilman meñ
sab kī dilchaspiyāñ haiñ rauzan meñ
jaane kyā chal rahā hai is man meñ
sar phaTā jā rahā hai uljhan meñ
zindagī sāzgār hai aise
jaise sūkhā paḌā ho sāvan meñ
mujh se pūchhe baġhair hotā hai
jo bhī hotā hai mere jīvan meñ
kitnī sadiyoñ se jī rahe haiñ log
rahnumāoñ ke āshvāsan meñ
vo na.ī fasl kyā ugā.eñge
rizq jo DhūñDte haiñ jūThan meñ
kaun sattā se ab savāl kare
log bikte haiñ muft rāshan meñ
'ahd-e-hāzir ko bhuul kar shā'ir
ab bhī uljhā huā hai chilman meñ
kitnī sanjīdgī se luuñ ḳhud ko
maiñ jo huuñ ek aaTh billion meñ
kaun nazren gaDae chilman mein
sab ki dilchaspiyan hain rauzan mein
jaane kya chal raha hai is man mein
sar phaTa ja raha hai uljhan mein
zindagi sazgar hai aise
jaise sukha paDa ho sawan mein
mujh se puchhe baghair hota hai
jo bhi hota hai mere jiwan mein
kitni sadiyon se ji rahe hain log
rahnumaon ke aashwasan mein
wo nai fasl kya ugaenge
rizq jo DhunDte hain juThan mein
kaun satta se ab sawal kare
log bikte hain muft rashan mein
'ahd-e-hazir ko bhul kar sha'ir
ab bhi uljha hua hai chilman mein
kitni sanjidgi se lun KHud ko
main jo hun ek aaTh billion mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.