kaun nikle ghar se bahar raat mein
kaun nikle ghar se bāhar raat meñ
so ga.e ham apne andar raat meñ
phir se milne aa ga.iiñ tanhā.iyāñ
kyoñ nahīñ khulte haiñ daftar raat meñ
ham juTā lete haiñ bistar to magar
roz kam paḌtī hai chādar raat meñ
roz hī vo ek laḌkī sub.h sī
jaatī hai ham ko jagā kar raat meñ
ḳhvāb dekhā hai isī kā raat bhar
so.e the jis ko bhulā kar raat meñ
zindagī bhar kī kamā.ī ek raat
jo milī ḳhud ko gañvā kar raat meñ
saañp do aate haiñ ham ko kāTne
us kī yādeñ aur ye ghar raat meñ
zindagī kī raat ik din ḳhatm ho
ye duā karte haiñ aksar raat meñ
kaun nikle ghar se bahar raat mein
so gae hum apne andar raat mein
phir se milne aa gain tanhaiyan
kyon nahin khulte hain daftar raat mein
hum juTa lete hain bistar to magar
roz kam paDti hai chadar raat mein
roz hi wo ek laDki subh si
jati hai hum ko jaga kar raat mein
KHwab dekha hai isi ka raat bhar
soe the jis ko bhula kar raat mein
zindagi bhar ki kamai ek raat
jo mili KHud ko ganwa kar raat mein
sanp do aate hain hum ko kaTne
us ki yaaden aur ye ghar raat mein
zindagi ki raat ek din KHatm ho
ye dua karte hain aksar raat mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.