kaun phir hosh mein aae kise phir hosh rahe
kaun phir hosh meñ aa.e kise phir hosh rahe
jab tirī mast nazar mai-kada-bar-dosh rahe
zulf āshufta nazar mast damakte ruḳhsār
yuuñ jo aa jaao to phir kis ko bhalā hosh rahe
ye hai mai-ḳhāna-e-ishq is kā yahī hai dastūr
hosh vaalā bhī yahāñ aa.e to behosh rahe
bhuul kar bhī na chakhā qatra-e-mai ham ne kabhī
terī mahfil meñ magar sūrat-e-mai-nosh rahe
jaane kyā baat thī kyā haal thā merā 'azmat'
vo mujhe dekhne aa.e bhī to ḳhāmosh rahe
kaun phir hosh mein aae kise phir hosh rahe
jab teri mast nazar mai-kada-bar-dosh rahe
zulf aashufta nazar mast damakte ruKHsar
yun jo aa jao to phir kis ko bhala hosh rahe
ye hai mai-KHana-e-ishq is ka yahi hai dastur
hosh wala bhi yahan aae to behosh rahe
bhul kar bhi na chakha qatra-e-mai hum ne kabhi
teri mahfil mein magar surat-e-mai-nosh rahe
jaane kya baat thi kya haal tha mera 'azmat'
wo mujhe dekhne aae bhi to KHamosh rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.