kaun puchhe mizaj patthar ka
kaun pūchhe mizāj patthar kā
ho gayā hai vo aaj patthar kā
raaj us kā bhī pā.edār nahīñ
jis ke sar par hai taaj patthar kā
shahr ke log pyaar ke badle
de rahe haiñ ḳhirāj patthar kā
merī qismat meñ likhne vaale ne
kar diyā indirāj patthar kā
but banāte haiñ sar jhukāte haiñ
kuchh diloñ par hai raaj patthar kā
haif-dar-haif daur-e-hāzir meñ
ban rahā hai samāj patthar kā
āj-kal yāsmīñ ke phūloñ se
ho rahā hai 'ilāj patthar kā
sang-dil log ġhāliban 'rāshid'
khā rahe haiñ anaaj patthar kā
kaun puchhe mizaj patthar ka
ho gaya hai wo aaj patthar ka
raj us ka bhi paedar nahin
jis ke sar par hai taj patthar ka
shahr ke log pyar ke badle
de rahe hain KHiraj patthar ka
meri qismat mein likhne wale ne
kar diya indiraj patthar ka
but banate hain sar jhukate hain
kuchh dilon par hai raj patthar ka
haif-dar-haif daur-e-hazir mein
ban raha hai samaj patthar ka
aaj-kal yasmin ke phulon se
ho raha hai 'ilaj patthar ka
sang-dil log ghaaliban 'rashid'
kha rahe hain anaj patthar ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.