kaun sa dil hai jo shikar nahin
kaun sā dil hai jo shikār nahīñ
ai sitamgar tirā shumār nahīñ
shauq ko ab bhī e.atibār nahīñ
dāman-e-shauq taar taar nahīñ
husn jab husn hai ki vaar kare
vaar ḳhālī rahe to vaar nahīñ
tujh se kyā iḳhtiyār kī ummīd
dil kā jab dil pe iḳhtiyār nahīñ
tujh se māyūs kyā ho koī sabā
dil ke mausam pe iḳhtiyār nahīñ
jhilmilāne lagī umiid kī lau
intizār aur intizār nahīñ
kar de maddham ummīd kī sham.eñ
be-qarāroñ ko ab qarār nahīñ
us ne mashq-e-sitam se kī tauba
ab ye rishta bhī ustuvār nahīñ
zaḳhm-e-gul se udaas hai mausam
in bahāroñ pe ab bahār nahīñ
yaad un kī 'fahīm' kam aa.ī
aaj kuchh dil bhī sogvār nahīñ
kaun sa dil hai jo shikar nahin
ai sitamgar tera shumar nahin
shauq ko ab bhi eatibar nahin
daman-e-shauq tar tar nahin
husn jab husn hai ki war kare
war KHali rahe to war nahin
tujh se kya iKHtiyar ki ummid
dil ka jab dil pe iKHtiyar nahin
tujh se mayus kya ho koi saba
dil ke mausam pe iKHtiyar nahin
jhilmilane lagi umid ki lau
intizar aur intizar nahin
kar de maddham ummid ki shamen
be-qararon ko ab qarar nahin
us ne mashq-e-sitam se ki tauba
ab ye rishta bhi ustuwar nahin
zaKHm-e-gul se udas hai mausam
in bahaaron pe ab bahaar nahin
yaad un ki 'fahim' kam aai
aaj kuchh dil bhi sogwar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.