kaun si jae hai ki jis ja pe tera nur nahin
kaun sī jaa.e hai ki jis jā pe tirā nuur nahīñ
par in āñkhoñ se tujhe dekhnā dastūr nahīñ
parda-e-hastī se apne maiñ huā huuñ mahjūr
dar nahīñ miltā tirā mujh se tū kuchh duur nahīñ
shakl-e-raushan ko chhupāte to kahāñ chhuptī hai
sham.a fānūs meñ hai nuur to mastūr nahīñ
haq to kahtā huuñ anal-haq kī sadā kyā bolūñ
vo zamāna bhī nahīñ aur vo mansūr nahīñ
jazba-e-shauq se 'ḳhāmosh' kabhū rotā hai
ġham se mahjūrī ke dil to mirā ranjūr nahīñ
kaun si jae hai ki jis ja pe tera nur nahin
par in aankhon se tujhe dekhna dastur nahin
parda-e-hasti se apne main hua hun mahjur
dar nahin milta tera mujh se tu kuchh dur nahin
shakl-e-raushan ko chhupate to kahan chhupti hai
shama fanus mein hai nur to mastur nahin
haq to kahta hun anal-haq ki sada kya bolun
wo zamana bhi nahin aur wo mansur nahin
jazba-e-shauq se 'KHamosh' kabhu rota hai
gham se mahjuri ke dil to mera ranjur nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.