kaun si manzil hai jo be-KHwab aankhon mein nahin
kaun si manzil hai jo be-KHwab aankhon mein nahin
Gulzar Vafa Chaudhari
MORE BYGulzar Vafa Chaudhari
kaun sī manzil hai jo be-ḳhvāb āñkhoñ meñ nahīñ
ek sūraj DhūñDhtā huuñ jo ki sapnoñ meñ nahīñ
dekhtā rahtā huuñ miTte shahr ke naqsh-o-nigār
aañkh meñ vo sūrateñ bhī haiñ ki galiyoñ meñ nahīñ
mausamoñ kā ruḳh udhar ko hai havāoñ kā idhar
jañgaloñ meñ baat koī hai ki shahroñ meñ nahīñ
piilī piilī titliyāñ haiñ aur mahrūmī kā raqs
kaun sā vo zā.iqa hogā ki phūloñ meñ nahīñ
yuuñ to har jānib khaḌe haiñ ye qatār-andar-qatār
ek ThanDak hai ki in peḌoñ ke sāyoñ meñ nahīñ
chāñd tāroñ kī ziyā.eñ kahkashāoñ ke hujūm
kaun sā vo āsmāñ hai jo zamīnoñ meñ nahīñ
kaun si manzil hai jo be-KHwab aankhon mein nahin
ek suraj DhunDhta hun jo ki sapnon mein nahin
dekhta rahta hun miTte shahr ke naqsh-o-nigar
aankh mein wo suraten bhi hain ki galiyon mein nahin
mausamon ka ruKH udhar ko hai hawaon ka idhar
jangalon mein baat koi hai ki shahron mein nahin
pili pili titliyan hain aur mahrumi ka raqs
kaun sa wo zaiqa hoga ki phulon mein nahin
yun to har jaanib khaDe hain ye qatar-andar-qatar
ek ThanDak hai ki in peDon ke sayon mein nahin
chand taron ki ziyaen kahkashaon ke hujum
kaun sa wo aasman hai jo zaminon mein nahin
- Book : Muasir (Pg. 235)
- Author : Habibullah
- Publication : Maktaba muasir 304 alfaisal palaza, Shahrah qaid-e-azam, lahore
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.