kaun sunta hai gham ke maron ki
kaun suntā hai ġham ke māroñ kī
shart kaisī kirā.e-dāroñ kī
vo samajhtā nahīñ ishāroñ kī
tum ko sūjhī hai isti.āroñ kī
munhasir sab hai tere aane par
apnī marzī kahāñ bahāroñ kī
kashtiyāñ jab talak nahīñ lauTīñ
saañs aTkī rahī kināroñ kī
apne jugnū bahut haiñ shab ke liye
kyoñ ḳhushāmad kareñ sitāroñ kī
naav sab rāstoñ se vāqif hai
jaan sāñsat meñ hai savāroñ kī
kaun sunta hai gham ke maron ki
shart kaisi kirae-daron ki
wo samajhta nahin ishaaron ki
tum ko sujhi hai istiaron ki
munhasir sab hai tere aane par
apni marzi kahan bahaaron ki
kashtiyan jab talak nahin lauTin
sans aTki rahi kinaron ki
apne jugnu bahut hain shab ke liye
kyon KHushamad karen sitaron ki
naw sab raston se waqif hai
jaan sansat mein hai sawaron ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.