kaun sunta hai yahan kis ko pukara jae
kaun sunta hai yahan kis ko pukara jae
Abdul Majeed Khan Majeed
MORE BYAbdul Majeed Khan Majeed
kaun suntā hai yahāñ kis ko pukārā jaa.e
ab zamāne meñ kahāñ dard kā maarā jaa.e
jis taraf jaane se parvāne ke par jalte haiñ
kyoñ usī rāh-e-vafā par vo dobāra jaa.e
jis ne sīkhī hī nahīñ rasm vafādārī kī
us ke kūche meñ qadam kaise hamārā jaa.e
vahī qātil vahī shāhid vahī munsif Thahrā
le ke fariyād kahāñ koī be-chāra jaa.e
kab talak karte raheñ un kī ināyat kā gila
kyoñ na ḳhud apne muqaddar ko sañvārā jaa.e
vo to suntā hai sabhī kī vahī mālik sab kā
shart lāzim hai use dil se pukārā jaa.e
vo mohabbat kī zabāñ ḳhuub samajhtā hai 'majīd'
chāhe jis naam se ab us ko pukārā jaa.e
kaun sunta hai yahan kis ko pukara jae
ab zamane mein kahan dard ka mara jae
jis taraf jaane se parwane ke par jalte hain
kyon usi rah-e-wafa par wo dobara jae
jis ne sikhi hi nahin rasm wafadari ki
us ke kuche mein qadam kaise hamara jae
wahi qatil wahi shahid wahi munsif Thahra
le ke fariyaad kahan koi be-chaara jae
kab talak karte rahen un ki inayat ka gila
kyon na KHud apne muqaddar ko sanwara jae
wo to sunta hai sabhi ki wahi malik sab ka
shart lazim hai use dil se pukara jae
wo mohabbat ki zaban KHub samajhta hai 'majid'
chahe jis nam se ab us ko pukara jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.