kaun tha daera-e-sham-o-sahar se bahar
kaun thā dā.era-e-shām-o-sahar se bāhar
kaise pahuñchā vo zamāne ke asar se bāhar
ek mausam thā anokhā sā badan ke andar
ek mausam thā ajab sā mire ghar ke bāhar
kyā pata ḳhauf kā ehsās hai kyoñ itnā mujhe
phir koī niklā hai zindān-e-sharar se bāhar
maiñ havāoñ meñ koī ghoñsla kis tarah banā.ūñ
ik parinda huuñ maiñ TuuTe hue par ke bāhar
qaid kar rakkhā hai muTThī meñ ye sūraj kis ne
raat hai bikhrī huī sī mire ghar ke bāhar
kaun tha daera-e-sham-o-sahar se bahar
kaise pahuncha wo zamane ke asar se bahar
ek mausam tha anokha sa badan ke andar
ek mausam tha ajab sa mere ghar ke bahar
kya pata KHauf ka ehsas hai kyon itna mujhe
phir koi nikla hai zindan-e-sharar se bahar
main hawaon mein koi ghonsla kis tarah banaun
ek parinda hun main TuTe hue par ke bahar
qaid kar rakkha hai muTThi mein ye suraj kis ne
raat hai bikhri hui si mere ghar ke bahar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.