kaun tha jo dast-e-qatil ke liye tayyar tha
kaun thā jo dast-e-qātil ke liye tayyār thā
ek maiñ hī bazm-e-ahl-e-ḳhvāb meñ bedār thā
bhar liye haiñ tīrgī se ghar kī dīvāroñ ke ghaav
kyā nayā sūraj hamāre vāste āzād thā
ḳhushk nahroñ se sadā-e-tishnagī aatī rahī
aur samundar mauj-e-be-āvāz se sarshār thā
aa rahe the mausamoñ ke naam phūloñ ke payām
tum na the to mausam-e-gul bhī nigah meñ ḳhaar thā
de diyā ghar ke charāġhoñ ko havā kī god meñ
log kahte the ki ik saaya pas-e-dīvār thā
ab bhī yuuñ lagtā hai jaise har ḳhabar ho aaj kī
is liye barsoñ purānā mez par aḳhbār thā
kaun tha jo dast-e-qatil ke liye tayyar tha
ek main hi bazm-e-ahl-e-KHwab mein bedar tha
bhar liye hain tirgi se ghar ki diwaron ke ghaw
kya naya suraj hamare waste aazad tha
KHushk nahron se sada-e-tishnagi aati rahi
aur samundar mauj-e-be-awaz se sarshaar tha
aa rahe the mausamon ke nam phulon ke payam
tum na the to mausam-e-gul bhi nigah mein KHar tha
de diya ghar ke charaghon ko hawa ki god mein
log kahte the ki ek saya pas-e-diwar tha
ab bhi yun lagta hai jaise har KHabar ho aaj ki
is liye barson purana mez par aKHbar tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.