kaun tha wo hamein pata hi nahin
kaun thā vo hameñ patā hī nahīñ
us ne ham se gila kyā hī nahīñ
raushnī dekhnā hai chhū kar ke
āñkhoñ pe kuchh yaqīñ rahā hī nahīñ
zindagī se javāb kyā māñgeñ
zindagī ko to kuchh patā hī nahīñ
chāhe dīvār ho yā dil koī
ham se to kuchh bhī TūTtā hī nahīñ
baaġh meñ phir bahār lauTī hai
aur bhañvaroñ ko kuchh patā hī nahīñ
mere zaḳhmoñ kī baat kartā hai
par vo zaḳhmoñ ko dekhtā hī nahīñ
aur bhī aib haiñ bhare us meñ
ek vo sirf bevafā hī nahīñ
jhiil kī minnateñ karegā hī
chāñd ke paas ā.īna hī nahīñ
achchhā hotā jo ḳhud pe hañs letā
kyūñki rone se kuchh huā hī nahīñ
kaun tha wo hamein pata hi nahin
us ne hum se gila kya hi nahin
raushni dekhna hai chhu kar ke
aankhon pe kuchh yaqin raha hi nahin
zindagi se jawab kya mangen
zindagi ko to kuchh pata hi nahin
chahe diwar ho ya dil koi
hum se to kuchh bhi TuTta hi nahin
bagh mein phir bahaar lauTi hai
aur bhanwaron ko kuchh pata hi nahin
mere zaKHmon ki baat karta hai
par wo zaKHmon ko dekhta hi nahin
aur bhi aib hain bhare us mein
ek wo sirf bewafa hi nahin
jhil ki minnaten karega hi
chand ke pas aaina hi nahin
achchha hota jo KHud pe hans leta
kyunki rone se kuchh hua hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.