kaunsi shab dil tumhaare waste taDpa nahin
kaunsi shab dil tumhaare waste taDpa nahin
Basheer Ahmad Basheer
MORE BYBasheer Ahmad Basheer
kaunsī shab dil tumhāre vāste taḌpā nahīñ
is bharī bastī meñ koī tum sā be-parvā nahīñ
vā.e-qismat lag gayā hai jī ik aise shahr meñ
jis kī galiyoñ meñ ba-juz apne koī apnā nahīñ
ye galī-kūche haiñ jis kūche kī nisbat se 'azīz
ik usī kūche kī jānib kyoñ qadam uThtā nahīñ
kaunsī shāḳh-e-mizha ab ke nahīñ phūlī-phalī
ab ke dasht-e-dil pe abr-e-ġham kahāñ barsā nahīñ
chaudhvīñ kā chāñd shab ham ko to pāgal kar gayā
dekh kar us ko samay yaad aa.e haiñ kyā kyā nahīñ
montgomery kī mahaktī shaam kyā kahnā tirā
tere sāyoñ meñ ġham-e-dil hai ġham-e-duniyā nahīñ
tā-kanār-e-chashm koī mauj aane do 'bashīr'
dil kā dariyā dekh lenā be-guhar dariyā nahīñ
kaunsi shab dil tumhaare waste taDpa nahin
is bhari basti mein koi tum sa be-parwa nahin
wae-qismat lag gaya hai ji ek aise shahr mein
jis ki galiyon mein ba-juz apne koi apna nahin
ye gali-kuche hain jis kuche ki nisbat se 'aziz
ek usi kuche ki jaanib kyon qadam uThta nahin
kaunsi shaKH-e-mizha ab ke nahin phuli-phali
ab ke dasht-e-dil pe abr-e-gham kahan barsa nahin
chaudhwin ka chand shab hum ko to pagal kar gaya
dekh kar us ko samay yaad aae hain kya kya nahin
montgomery ki mahakti sham kya kahna tera
tere sayon mein gham-e-dil hai gham-e-duniya nahin
ta-kanar-e-chashm koi mauj aane do 'bashir'
dil ka dariya dekh lena be-guhar dariya nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.