kha gae na yahin ye mat miyan
khā ga.e nā yahīñ ye maat miyāñ
hai kisī ko kahāñ sabāt miyāñ
vaqt yaksāñ kabhī nahīñ rahtā
din se kahtī thī kal ye raat miyāñ
apnā baazū na vo gañvā baiThe
jo lagā.e hue hai ghaat miyāñ
āstīñ un kī dekh lījiyegā
vo jo rahte haiñ apne saath miyāñ
sar-ba-zānū kahīñ ye rotī hai
hañs rahī hai kahīñ hayāt miyāñ
ham pe hai vājib-ul-adā 'zāhid'
āñsuoñ kī bhī kuchh zakāt miyāñ
kha gae na yahin ye mat miyan
hai kisi ko kahan sabaat miyan
waqt yaksan kabhi nahin rahta
din se kahti thi kal ye raat miyan
apna bazu na wo ganwa baiThe
jo lagae hue hai ghat miyan
aastin un ki dekh lijiyega
wo jo rahte hain apne sath miyan
sar-ba-zanu kahin ye roti hai
hans rahi hai kahin hayat miyan
hum pe hai wajib-ul-ada 'zahid'
aansuon ki bhi kuchh zakat miyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.