KHak-e-dil par gham ka baadal jab talak barsa na tha
ḳhāk-e-dil par ġham kā bādal jab talak barsā na thā
apne andar kā chaman kuchh is tarah mahkā na thā
chilchilātī dhuup meñ bin maañ ke bachche ke liye
jā-ba-jā peḌoñ ke jhurmuT meñ kahīñ saaya na thā
ġham ke mausam meñ safar lagtā thā sadiyoñ par muhīt
rut badalne par lagā aisā bahut arsa na thā
aaj āñkheñ farsh-e-rah un ke liye karnā paḌīñ
ham ne muḌ ke jin ko chalte meñ kabhī dekhā na thā
ahd-e-nau kī aag sīnoñ meñ lagī hai rāt-din
phuul se jazboñ kā gulshan is tarah jhulsā na thā
dard to insāñ azal se sahtā aayā hai magar
yuuñ kabhī dard-āshnā ke vāste tarsā na thā
khul ke ro lete the sab ik dūsre ke sāmne
dil ke zaḳhmoñ ko chhupā ke yuuñ koī rakhtā na thā
KHak-e-dil par gham ka baadal jab talak barsa na tha
apne andar ka chaman kuchh is tarah mahka na tha
chilchilati dhup mein bin man ke bachche ke liye
ja-ba-ja peDon ke jhurmuT mein kahin saya na tha
gham ke mausam mein safar lagta tha sadiyon par muhit
rut badalne par laga aisa bahut arsa na tha
aaj aankhen farsh-e-rah un ke liye karna paDin
hum ne muD ke jin ko chalte mein kabhi dekha na tha
ahd-e-nau ki aag sinon mein lagi hai raat-din
phul se jazbon ka gulshan is tarah jhulsa na tha
dard to insan azal se sahta aaya hai magar
yun kabhi dard-ashna ke waste tarsa na tha
khul ke ro lete the sab ek dusre ke samne
dil ke zaKHmon ko chhupa ke yun koi rakhta na tha
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 375)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.