KHak-e-irfan mayassar ho KHata se pahle
ḳhāk-e-irfān mayassar ho ḳhatā se pahle
ham bhī din raat ulajhte the ḳhudā se pahle
aaj duniyā mire ahbāb ko pursa degī
mar chukā maiñ to ka.ī baar qazā se pahle
sach kā ban-bās uThānā to panapnā Thahrā
zahr piinā bhī zarūrī hai baqā se pahle
aap kyā aa ga.e sahrā kā muqaddar jaagā
pyaas par aag barastī thī ghaTā se pahle
vo sazā thī ki añdherā thā mirī āñkhoñ meñ
maiñ ne kyoñ soch ke dekhā thā ḳhudā se pahle
vaqt alfāz kā mafhūm badal detā hai
ham bidakte the kahāñ harf-e-vafā se pahle
vo patang uḌne uḌāne kā maza kyā jaane
jo na uljhī ho kabhī shoḳh havā se pahle
KHak-e-irfan mayassar ho KHata se pahle
hum bhi din raat ulajhte the KHuda se pahle
aaj duniya mere ahbab ko pursa degi
mar chuka main to kai bar qaza se pahle
sach ka ban-bas uThana to panapna Thahra
zahr pina bhi zaruri hai baqa se pahle
aap kya aa gae sahra ka muqaddar jaga
pyas par aag barasti thi ghaTa se pahle
wo saza thi ki andhera tha meri aankhon mein
main ne kyon soch ke dekha tha KHuda se pahle
waqt alfaz ka mafhum badal deta hai
hum bidakte the kahan harf-e-wafa se pahle
wo patang uDne uDane ka maza kya jaane
jo na uljhi ho kabhi shoKH hawa se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.