KHak hum munh pe male aae hain
ḳhaak ham muñh pe male aa.e haiñ
chāñd ko chhū ke chale aa.e haiñ
shola shola ye chaTānoñ ke badan
ābshāroñ meñ Dhale aa.e haiñ
kisī manzar pe nahīñ khultī aañkh
kis kī palkoñ ke tale aa.e haiñ
chāñdnī se kaho baazū khole
us kī ḳhushbū ke jale aa.e haiñ
shoḳh kirnoñ ne pukārā hai hameñ
din hamāre bhī bhale aa.e haiñ
vahī ta.abīr vahī ik chehra
ḳhvāb kyā raat Dhale aa.e haiñ
KHak hum munh pe male aae hain
chand ko chhu ke chale aae hain
shola shola ye chaTanon ke badan
aabshaaron mein Dhale aae hain
kisi manzar pe nahin khulti aankh
kis ki palkon ke tale aae hain
chandni se kaho bazu khole
us ki KHushbu ke jale aae hain
shoKH kirnon ne pukara hai hamein
din hamare bhi bhale aae hain
wahi tabir wahi ek chehra
KHwab kya raat Dhale aae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.